Hello and Welcome to the World of Rajababu
Dil Aaj Shaayar Hai...
Home | Preludium | About Me | Shaayri | My Kodak moments | Tere Jaisa Yaar Kahaan ... ? | Poetic Emotions .... | Acknowledgements | Contact Me | Bouquets and Brickbats

These are a few of my fav shaayris. If u know of any fantabulous ones, do rush it to me. I'll be most glad to put it up here (with your name acknowledged of course !)
So Arz kiyaa hai ...

On HeartBurns / Bewafaayee:

Naa taarif karna tum Mohabbat ki
Naa aansoon bahaana tanhaaiyon mein
Mohabbat mein toote dilon ke katre
Milte hain aksar parchaaiyon mein

Aye aasmaan par nazar rakhne wali
kabhi to zameen par bhi dekha kar
Kya haal hai tere diwaane ka
Kabhi apni nazron se bhi to dekha kar

Ik shamma ki chahat mein
lakhon parwane jal jaate hain
shamma kyon parwah kare
jalana hi uski fitrat hai

Ab hamen tanhaai ki itni aadatsi ho gayi hai
Ki saaya bhi saath rahe to badi takleef hoti hai

Tanhaii ho ya tassavur ka aalam
Tum kabhi na aana mujhe yaad,
Dewaana dil phir se nashe mein hai
Ik nayii azaadi ke baad.

Har Ikraar Mera Tere Inkaar Se Aachha Hoga
Mera Har Din Teri Us Raat Se Aachha Hoga
Na Ho Yakeen To Jhaank Lena Apni Doli Se
Mera Janaaza Teri Baarat Se Aachha Hoga

Kuch to Duniya Ke Inayat Ne Dil Tod Diya
Kuch Talakh-e-Halaat Ne Dil Tod Diya
Hum to Samjhe the Ki Barsat Me Barsegi Sharab
Aayee Barsat to Barsat Ne Bhi Dil Tod Diya...
 
Bhul jana chaahe sari khudaayi, sare bandhan tod dena,
Magar kabhi aye dost, kisi diljale ki bad-duvaa na lena.

But this is my most favourite one....
Yoon tere gham ko gale lagaaya hai
Jaise seep mein guhar chhupaaya hai
Itne maraasim ke baad woh milti hai
To yoon ke jaise apna nahin paraaya hai
Jab jab karta hoon bayaan-e-haal-e-dil unse..
Kehti hai chhodo yeh kissa pehle bhi sunaaya hai
Aur kahin se ab roshni ka imkaan nahin..
Yahi sochkar apne hi ghar ko jalaaya hai
Woh aaye ke na aaye unki marzee thehri..
Par yeh dil ne unko bahut khuloos se bulaaya hai
Unki bewafaai ka gila karoon to kehte hain
Itni si baat ko lekar bahut shor machaaya hai
Jahaan bhi gaya "Raja" sangsaar hua
Yeh kaam bhi shayad aap ka kiyaa-karaaya hai.
 
On Resurrection of Love...

Sab kuch katam ho gaya, par intezaar baki hai,
Raat bhi ab dhal chuki, deedare yaar baki hai,
Mein to ja hi rahi thaa, is ujade huve gulshan se,
ki koi aakar keh gaya.. taher ja, abhi bahar baki hai


TongueTied.....

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Arz karne ki tamanna to bahut hai,
per Alfaaz nahi hai.
Ye kudrat ke ajeeb karishme hai,
ke dil mein dard hai, per Juban nahi hai.

Just simply romantic words ....
kuchh is kadar hum Ishq ko bemisaal kar jaayenge...
khud to ruswa honge sanam tujhe la-jawaal kar jaayenge

Har Dil Mai Ek Umang Utha Karti Hai
Har Umang Ek Raaj Kaha Karti Hai
Mumkin Nahi Ki Har Koi TajMahal Bana De
Magar Har Dil Mai Ek Mumtaz Raha Karti Hai
Aao sanam yoon hi na kho de is andhere ko
Apne kismat mein itni roshni bhi nahin, ke yeh andhera phir se mile..

Lovely Compliments.....

Mere jine ke liye tera armaan hi kafi hai.
Dil ke kalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai.
Tir-e-talwaar ki tujhe kya zaroorat e-nazneen
Qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai

Ankhein kholu to chehra tumhara ho
ankhein band karu to sapna tumhara ho
aab to mar bhi jaon to gam nahi agar
kafan ke liye aanchal tumhara ho. "

Shaam ki laali raat ki kaajal
subah ki taqdeer ho tum,
ae chaltaa phirtaa tajmahal
saans letaa kashmir ho tum!

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki..
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki..
 
Pehli hi guftagu mein meri tabiyat badal gayi
Pehle to kabhi itane jazbaati nahin the ham
Ab to har din ka aagaj tere parastish se hota hai
Ab to har raat, tere khawab-o-khayal mein gujar jaati hai
Kin bejan si cheezon pe dewane huva karte the ham
Kin nadan se usulon ki khatir mita karte the ham
Chand saanson mein lipti yeh mukhtsar jindagi hamaari
Behtar ho, ise jee len har nafas tere sath hi rahkar
 
 

This Shayari collection comes to you from what I flicked out of various mails from:

Rajesh Jha
Sumita Tilak
Nazim Khan
Raza Hussain
Assaad Shaikh
Pankaj Shrivastava
Sachin Chaturvedi
Vinay Salehithal

Enter supporting content here