On HeartBurns / Bewafaayee:
Naa taarif karna tum Mohabbat ki Naa aansoon bahaana tanhaaiyon mein
Mohabbat mein toote dilon ke katre Milte hain aksar parchaaiyon mein
Aye aasmaan par nazar rakhne wali kabhi
to zameen par bhi dekha kar Kya haal hai tere diwaane ka Kabhi apni nazron se bhi to dekha kar
Ik shamma ki
chahat mein lakhon parwane jal jaate hain shamma kyon parwah kare jalana hi uski fitrat hai
Ab hamen tanhaai
ki itni aadatsi ho gayi hai Ki saaya bhi saath rahe to badi takleef hoti hai
Tanhaii ho ya tassavur ka aalam Tum
kabhi na aana mujhe yaad, Dewaana dil phir se nashe mein hai Ik nayii azaadi ke baad.
Har Ikraar Mera Tere
Inkaar Se Aachha Hoga Mera Har Din Teri Us Raat Se Aachha Hoga Na Ho Yakeen To Jhaank Lena Apni Doli Se Mera Janaaza
Teri Baarat Se Aachha Hoga
Kuch to Duniya Ke Inayat Ne Dil Tod Diya Kuch Talakh-e-Halaat Ne Dil Tod Diya Hum
to Samjhe the Ki Barsat Me Barsegi Sharab Aayee Barsat to Barsat Ne Bhi Dil Tod Diya...
Bhul jana chaahe sari khudaayi, sare bandhan tod dena, Magar kabhi
aye dost, kisi diljale ki bad-duvaa na lena.
But this is my most favourite one....
Yoon tere gham ko gale lagaaya hai Jaise seep mein guhar chhupaaya
hai Itne maraasim ke baad woh milti hai To yoon ke jaise apna nahin paraaya hai Jab jab karta hoon bayaan-e-haal-e-dil
unse.. Kehti hai chhodo yeh kissa pehle bhi sunaaya hai
Aur kahin se ab roshni ka imkaan nahin.. Yahi sochkar apne hi ghar
ko jalaaya hai Woh aaye ke na aaye unki marzee thehri.. Par
yeh dil ne unko bahut khuloos se bulaaya hai Unki bewafaai
ka gila karoon to kehte hain Itni si baat ko lekar bahut shor machaaya hai
Jahaan bhi gaya "Raja" sangsaar hua Yeh kaam bhi shayad aap ka
kiyaa-karaaya hai.
On Resurrection of Love...
Sab kuch katam
ho gaya, par intezaar baki hai, Raat bhi ab dhal chuki, deedare yaar baki hai, Mein to ja hi rahi thaa, is ujade huve
gulshan se, ki koi aakar keh gaya.. taher ja, abhi bahar baki hai
TongueTied.....
Sookh
Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi Hota Nahi Humse Ishq Bayaan Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi Kaise Sikhaoon Aankhon
Ki Zubaan
Arz karne ki tamanna to bahut hai, per Alfaaz nahi hai. Ye kudrat ke ajeeb karishme hai, ke
dil mein dard hai, per Juban nahi hai.
Just simply romantic words ....
kuchh is kadar hum Ishq ko bemisaal kar jaayenge... khud to ruswa
honge sanam tujhe la-jawaal kar jaayenge
Har Dil Mai Ek Umang Utha Karti Hai Har Umang Ek Raaj Kaha Karti Hai
Mumkin Nahi Ki Har Koi TajMahal Bana De Magar Har Dil Mai Ek Mumtaz Raha Karti Hai
Aao sanam yoon hi na kho de is andhere ko Apne kismat mein itni
roshni bhi nahin, ke yeh andhera phir se mile..
Lovely Compliments.....
Mere jine ke liye
tera armaan hi kafi hai. Dil ke kalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai. Tir-e-talwaar ki tujhe kya zaroorat e-nazneen
Qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai
Ankhein kholu to chehra tumhara ho ankhein band karu to sapna
tumhara ho aab to mar bhi jaon to gam nahi agar kafan ke liye aanchal tumhara ho. "
Shaam ki laali raat ki
kaajal subah ki taqdeer ho tum, ae chaltaa phirtaa tajmahal saans letaa kashmir ho tum!
Mast Nazron se
dekh lenaa tha Agar tamanna thi aazmane ki.. Hum to behust youn hi ho jaate Kya zaroorat thi muskurane ki..
Pehli hi guftagu mein meri tabiyat badal gayi Pehle to kabhi itane jazbaati
nahin the ham Ab to har din ka aagaj tere parastish se hota hai Ab to har raat, tere khawab-o-khayal mein gujar jaati
hai
Kin bejan si cheezon pe dewane huva karte the ham Kin nadan se usulon
ki khatir mita karte the ham Chand saanson mein lipti yeh mukhtsar jindagi hamaari Behtar ho, ise jee len har nafas
tere sath hi rahkar
|